tirī justujū tirī aarzū mujhe kaam tere hī kaam se
tū hī zindagī kā hai mudda.ā mirā naam tere hī naam se
tirā husn hai mirī zindagī tirā ishq hai mirī āshiqī
tirī fikr hai mirī shā.irī tirā zikr mere kalām se
tire husn ne ye ġhazab kiyā ki har ahl-e-dil huā mubtalā
jise dekhā terā hī said thā na koī bachā tire daam se
ga.ī aadhī raat guzar magar na to aa.e ḳhud na lī kuchh ḳhabar
maiñ taḌap rahā huuñ idhar udhar yūñhī intizār meñ shaam se
mire dilrubā mire dilrubā na ye lutf hai na koī atā
agar aanā hai to phir aa bhī jā na yuuñ jhāñk rauzan-e-bām se
ye ġhalat hai kufr hai sāqiyā mujhe terā hī rahā aasrā
tū pilā pilā tū pilā pilā nahīñ ijtināb harām se
maiñ vo tishna-lab huuñ ki sāqiyā hai azal se ḳhushk mirā galā
na zabāñ ko mai kā milā mazā na lab-āshnā hue jaam se
tirā soz-e-ishq hai zindagī tirā jazb-e-husn hai be-ḳhudī
tujhe pā ke ḳhush hai tirā 'zakī' nahīñ kaam aish-e-davām se