ai dil tirī aahoñ meñ itnā to asar aa.e
jab yaad karūñ un kī tasvīr nazar aa.e
har chand hasīñ the tum har chand javāñ the tum
par ishq ke saa.e meñ kuchh aur nikhar aa.e
maiñ khel samajhtā thā mujh ko ye ḳhabar kyā thī
kyā jāniye kab mere dil meñ vo utar aa.e
us husn ke jalvoñ ne kuchh sehr kiyā aisā
nazroñ meñ na merī phir kuchh shams-o-qamar aa.e
phir kis se mileñ nazreñ phir kis ne mujhe chheḌā
phir daur-e-mohabbat ke sab naqsh ubhar aa.e
tūfān-e-havādis ne kab kab na hameñ gherā
dariyā-e-mohabbat meñ kyā kyā na bhañvar aa.e
halkī sī siyāhī hai tahrīr-e-mohabbat kī
aañsū kī jagah bah kar phir ḳhūn-e-jigar aa.e
manzil kī tamannā ne rukne na diyā us ko
raste meñ musāfir ke go laakh shajar aa.e
pur-ḳhār thiiñ vīrāñ thiiñ rāheñ to mohabbat kī
jāñbāz tire lekin be-ḳhauf-o-ḳhatar aa.e
go laakh kahā dil ne ruk jaao Thahar jaao
ham phir bhī na jaane kyuuñ chup-chāp guzar aa.e
kyā aur na thā koī jo un ko samajh paatā
bāzār-e-jihālat meñ kyuuñ ahl-e-hunar aa.e
is daur-e-taraqqī meñ bas vo hai 'zakī' achchhā
jo sīdhe yā ulTe hī har kaam ko kar aa.e