dil hai bīmār kyā kare koī
kis tarah se davā kare koī
jab ki tum bin kahīñ qarār na ho
phir batāo ki kyā kare koī
vo na apnī ravish ko badleñge
chāhe jo kuchh kahā kare koī
tāqatoñ ne mirī javāb diyā
ab batāo ki kyā kare koī
baḌhtī jaatī haiñ dhaḌkaneñ dil kī
aa bhī jaa.e ḳhudā kare koī
un ko fursat kahāñ sañvarne se
ab jiye yā marā kare koī
jab ta.alluq na koī baaqī ho
kis tarah se vafā kare koī
sab ye taqdīr ke karishme haiñ
kyā kisī se gilā kare koī
ham to tālib nahīñ vafāoñ ke
kaash ham se jafā kare koī
phir 'zakī' dil ko ye tamannā hai
ham se nāz-o-adā kare koī