Mustafa Shahab

use dekha to har be-chehragi kasa uTha lai

Mustafa Shahab

use dekhā to har be-chehragī kaasa uThā laa.ī
tamannā apne ḳhālī haath meñ duniyā uThā laa.ī
mujhe to apnī saarī khetiyāñ sairāb karnī thiiñ
magar vo mauj apne saath ik sahrā uThā laa.ī
rifāqat ko mirī tanhā.ī bhūlī-bisrī yādoñ se
koī saaya uThā laa.ī koī chehra uThā laa.ī
unheñ ḳhushbū kī chāhat meñ bahut narmī se chhūnā thā
havā-e-shām to phūloñ kī komaltā uThā laa.ī
vahāñ to āb-e-shīrīñ kī ka.ī labrez jhīleñ thiiñ
to phir kyuuñ tishnagī merī mujhe pyāsā uThā laa.ī
kabhī in vādiyoñ meñ duur tak raste firozāñ the
'shahāb' ik sar-phirī mauj-e-havā kohrā uThā laa.ī
Top Urdushayar.com