aks dekhā to lagā koī kamī hai mujh meñ
aa.ina kahtā thā maujūd sabhī hai mujh meñ
raushnī phir tujhe darpesh hai ik aur safar
duur tak jā.egī jo aag lagī hai mujh meñ
karvaTeñ le ke sahar karne kī pur-ḳhār thakan
kabhī tujh meñ hai numāyāñ to kabhī hai mujh meñ
koī ehsās-e-ziyāñ jaag uThā hai jaise
ek uljhī sī girah jab se khulī hai mujh meñ
sub.h tak jaane kahāñ mujh ko uḌā kar le jaa.e
ek āñdhī jo sar-e-shām chalī hai mujh meñ