Akhtar Saeedi

muddaton jo rahe bahaaron mein

Akhtar Saeedi

Sindh, Pakistan

1958
muddatoñ jo rahe bahāroñ meñ
aaj vo ghir ga.e haiñ kāñToñ meñ
maiñ ki sahrā-navard huuñ lekin
parvarish chāhtā huuñ phūloñ meñ
aks terā dikhā.ī detā hai
bahte paanī kī naram lahroñ meñ
khul ga.e ḳhvāhishoñ ke darvāze
phir bhī koī nahīñ hai bāñhoñ meñ
jo mahakte haiñ ḳhushbuoñ kī tarah
lams terā hai un gulāboñ meñ
kār-farmā dikhā.ī detā hai
merā ehsās mere jazboñ meñ
aaj ham se bichhaḌ gayā 'aḳhtar'
tazkira ho rahā thā logoñ meñ
Top Urdushayar.com