ik ajab aalam hai dil kā zindagī kī raah meñ
dekhtā huuñ kuchh kamī sī husn-e-mahr-o-māh meñ
us ke hote bhī maiñ ik ehsās-e-tanhā.ī meñ huuñ
jalva-gar hai vo jo muddat se dil-e-āgāh meñ
duur ho kar mujh se chaltī hai havā-e-jāñ-fazā
jī rahā huuñ phir bhī aise mausam-e-jāñkāh meñ
har qadam par kyuuñ Darātī hai mujhe ye zindagī
ye jo merī raushnī thī zulmatoñ kī raah meñ
kaise uTThūñ tere dar se ai jahān-e-ārzū
ek aalam ko sameTe dāman-e-kotāh meñ
ai parastārān-e-duniyā dil kī duniyā hai kuchh aur
kaun Thokar khaa.e bin rahtā hai us kī raah meñ
ab na pahchāne koī 'aḳhtar' to is kā kyā ilaaj
umr saarī kaaT dī hai tū ne rasm-o-rāh meñ