kī justujū to ek nayā ghar milā mujhe
barsoñ ke ba.ad merā muqaddar milā mujhe
jab tishnagī baḌhī to masīhā na thā koī
jab pyaas bujh ga.ī to samundar milā mujhe
duniyā mire ḳhilāf nabard-āzmā rahī
lekin vo ek shaḳhs barābar milā mujhe
zaḳhm-e-nigāh zaḳhm-e-hunar zaḳhm-e-dil ke ba.ad
ik aur zaḳhm tujh se bichhaḌ kar milā mujhe
nāzuk-ḳhayāliyoñ kī mujhe ye sazā milī
shīsha tarāshne ko bhī patthar milā mujhe