Rasikh Farani

dost ke shahr mein jab main pahuncha shahr ka manzar achchha tha

Rasikh Farani

dost ke shahr meñ jab maiñ pahuñchā shahr kā manzar achchhā thā
la.al-o-gohar se bhī us kī dahlīz kā patthar achchhā thā
bārish dhuup kī baat judā thī lā-mahdūd masāfat meñ
nañge sar par jaisā bhī thā gumbad-e-be-dar achchhā thā
kis lahje kin lafzoñ meñ shahkār-e-azal kī baat karūñ
duniyā bhar ke fan-pāroñ se ḳhaak kā paikar achchhā thā
chamak-damak ke makr se nikle karb ke bandhan TuuT ga.e
shām-e-judā.ī ke mahtāb se sub.h kā aḳhtar achchhā thā
jaane kis lālach meñ aa kar sar kā saaya bech diyā
meñh meñ bhīge yaad aayā tinkoñ kā chhappar achchhā thā
palkoñ se har zaḳhm siyā thā ik anjāne mohsin ne
sañg-zanoñ kī nagrī meñ bhī koī rafū-gar achchhā thā
'rāsiḳh' soñdhī miTTī kī aivānoñ meñ mahkār kahāñ
rauzan rauzan jhāñk ke dekhā kachchā hī ghar achchhā thā
Top Urdushayar.com