Shams Tabrezi

apna ghar bhi koi aaseb ka ghar lagta hai

Shams Tabrezi

Etawah, Uttar pradesh, India

1957
apnā ghar bhī koī aaseb kā ghar lagtā hai
band darvāza jo khul jaa.e to Dar lagtā hai
ba.ad muddat ke mulāqāt huī hai us se
farq itnā hai ki ab ahl-e-nazar lagtā hai
is zamāne meñ bhī kuchh log haiñ fan ke ustād
kaam koī bhī kareñ dast-e-hunar lagtā hai
jis ne jī chāhā use luuT ke pāmāl kiyā
apnā dil bhī hameñ dillī sā nagar lagtā hai
apnī kuchh baat hai ahbāb meñ varna ai shams'
sab dhuāñ hai vo jahāñ koī shajar lagtā hai
Top Urdushayar.com