ik sham.a kā saaya thā ki mehrāb meñ Duubā
ik maiñ ki tire hijr ke girdāb meñ Duubā
merī shab-e-tārīk kā chehra huā raushan
sūraj sā koī shaam ko mahtāb meñ Duubā
hai dīda-e-be-ḳhvāb mirā kitnā farebī
jab dekhiye lagtā hai kisī ḳhvāb meñ Duubā
dil thā ki koī khel meñ pheñkā huā patthar
maujoñ se jo laḌtā huā tālāb meñ Duubā
khultā hai faqat itnā vo az-rāh-e-muravvat
miltā hai magar majlisī ādāb meñ Duubā
pātāl kī gahrā.ī se ubhrā mirā aañsū
chupke se phir ik kūza-e-be-āb meñ Duubā
thā jis kā falak-bos fasīloñ meñ tahaffuz
vo ghar bhī mirā vaqt ke sailāb meñ Duubā