bahut kam bolnā ab kar diyā hai
ka.ī mauqoñ pe ġhussa bhī piyā hai
tum ham se pūchhte ho kyā ki ham ne
bahut sā kaam nazroñ se liyā hai
bahut garmī paḌī ab ke baras bhī
may aur june mushkil meñ jiyā hai
rafū āñchal pe tere hai to sun le
garebāñ chaak ham ne bhī siyā hai
tumhārī guftugū batlā rahī hai
kisī se ishq tum ne bhī kiyā hai
bahut shīr-o-shakar haiñ ham adab meñ
to shams' ham meñ koī kyā mafiyā hai