kisī kī chaah meñ dil ko jalānā Thiik hai kyā
ḳhud apne aap ko yuuñ āzmānā Thiik hai kyā
shikār karte haiñ ab log ek tiir se do
kahīñ nigāh kahīñ par nishāna Thiik hai kyā
bahut sī bātoñ ko dil meñ bhī rakhnā paḌtā hai
har ek baat har ik ko batānā Thiik hai kiyā
gulāb lab to badan chāñd ātishīñ ruḳhsār
nazar ke sāmne itnā ḳhazāna Thiik hai kyā
tamām shab mirī āñkhoñ kā ḳhvāb rahte ho
tamām raat kisī ko jagānā Thiik hai kyā
kabhī baḌoñ kī bhī bātoñ kā maan rakkho shams'
har ek baat meñ apnī chalānā Thiik hai kyā