jise likh likh ke ḳhud bhī ro paḌā huuñ
maiñ apnī ruuh kā vo marsiya huuñ
mirī tanhā.iyoñ ko kaun samjhe
maiñ saaya huuñ magar ḳhud se judā huuñ
samajhtā huuñ navā kī sho.alagī ko
sukūt-e-harf se lams-e-āshnā huuñ
kisī se kiyā milūñ apnā samajh kar
maiñ apne vāste bhī nā-rasā huuñ
koī sūraj hai fan kā to mujhe kyā
maiñ apnī raushnī meñ sochtā huuñ
mirā sahrā hai merī ḳhud-shanāsī
maiñ apnī ḳhāmushī meñ gūñjtā huuñ
mujhe ye justujū rakhtī hai hairāñ
ki maiñ sahbā huuñ yā sahbā-numā huuñ