jaise kisī se vasl kā va.ada vafā huā
yuuñ sub.h-dam charāġh se sho.ala judā huā
zahrāb-e-ġham kā koī asar ho to kis tarah
siine meñ dil hai dil bhī lahū meñ bujhā huā
tujh se sadā-bahār ko andesha-e-ḳhizāñ
puurā na ho ḳhudā kare terā kahā huā
is chashm-e-mai-farosh se pī jis kā ek umr
ik shaam kā bhī qarz ba-mushkil adā huā
detā hai mujh ko tark-e-mohabbat ke mashvare
tere sivā bhī hai koī dil meñ chhupā huā
jā.ūñ kahāñ ki tark-e-tamannā ke bāvajūd
hai har taraf hisār-e-tamannā khiñchā huā