maiñ ahl-e-dahr kī nazroñ meñ be-aqīda sahī
ulaT naqāb ki nādīda aaj diida sahī
havā-e-kūcha-e-mahbūb kā huuñ dāman-gīr
hazār dāman-e-mahbūb nā-rasīda sahī
tasavvurāt tire husn se haiñ vābasta
ta.alluqāt tirī zaat se kashīda sahī
mirī buland ḳhayālī meñ kyā kamī aa.ī
maiñ arsh-zād nahīñ ḳhāk-e-āfrīda sahī
mujhe nahīñ na sahī ho adū ko chain nasīb
bashar kā dukh hai mujhe maiñ bashar gazīda sahī
jise milā hai use mast kar gayā 'sahbā'
mire ḳhayāl kā bāda-suḳhan kashīda sahī