ḳhvāb kī sūrat kabhī ham-rañg afsāna mile
chāñd jaise log ham se māhtābāna mile
dīda-o-dil meñ basā lī us ke kūche kī havā
us kī zulfoñ kī mahak se bhī asīrana mile
ham bhī ik but kī parastish ke liye betāb haiñ
kaun jaane kab mohabbat kā sanam-ḳhāna mile
ārzū-mand-e-tamāsha haiñ mirī tanhā.iyāñ
koī kāshāna nahīñ to koī vīrāna mile