Sahba Akhtar

sawal-e-subh-e-chaman zulmat-e-KHizan se uTha

Sahba Akhtar

Jammu, Jammu and Kashmir, India

1931-1996
savāl-e-sub.h-e-chaman zulmat-e-ḳhizāñ se uThā
ye nafa.a kam to nahīñ hai jo is ziyāñ se uThā
safīna-rāni-e-mahtāb dekhtā koī
ki ik talātum-e-zau jū-e-kahkashāñ se uThā
ġhubār-e-māh ki maqsūm thā ḳhalāoñ kā
bikhar gayā to tire sañg-e-āstāñ se uThā
ġham-e-zamāna tire naaz kyā uThā.ūñgā
ki nāz-e-dost bhī kam mujh se sargirāñ se uThā
mire habīb bahut kam-sabāt hai duniyā
mire habīb bas ab haath imtihāñ se uThā
bayān-e-laġhzish-e-ādam na kar ki vo fitna
mirī zamīñ se nahīñ tere āsmāñ se uThā
kahāñ chale ho liye naqd-e-jān-o-dil 'sahbā'
ki kārobār-e-vafā shahr-e-dil-barāñ se uThā
Top Urdushayar.com