muhīt misl-e-āsmāñ zamīn-e-fikr-o-fan pe huuñ
sukūt kā sabab hai ye maqām-e-lā-suḳhan pe huuñ
fazā-e-lā-sabāt meñ sarā-e-be-jihāt meñ
musāfirāna ḳhanda-rez vaqt kī thakan pe huuñ
mire nasīb kī sahar ġhurūb ho ga.ī kahāñ
nazar jamā.e der se tirī kiran kiran pe huuñ
sajā.ūñ vo chaman jinheñ ḳhizāñ kabhī na chhū sake
tirī tarah jo hukmarāñ shaguft har chaman pe huuñ
azīz-tar hai tesha-e-hunar ġhubār-e-dard se
tarīq-e-qais par nahīñ tarīq-e-koh-kan pe huuñ
hujūm-e-sad-ḳhayāl se najāt mil sake agar
to hāsidāna mo'tariz kisī kī anjuman pe huuñ
visāl hī visāl hai firāq ab muhāl hai
maiñ tere har libās kī tarah tire badan pe huuñ
kisī ke shajra-e-suḳhan se nisbat-e-suḳhan nahīñ
maiñ aap apnā mudda.ī siyādat-e-suḳhan pe huuñ