dohrā.ūñ kyā fasāna-e-ḳhvāb-o-ḳhayāl ko
guzre ka.ī firāq kisī ke visāl ko
rishta ba-juz-gumān na thā zindagī se kuchh
maiñ ne faqat qayās kiyā maah o saal ko
shāyad vo sañg-dil ho kabhī mā.il-e-karam
sūrat na de yaqīn kī is ehtimāl ko
tarġhīb kā hai vus.at-e-imkāñ pe inhisār
ram-ḳhurdagī sikhātā hai sahrā ġhazāl ko
'sahbā' sadā bahār hai ye gulsitān-e-fan
mumkin nahīñ zavāl suḳhan ke kamāl ko