Sahba Akhtar

hum apne baKHt-e-siyah ke asar mein rahte hain

Sahba Akhtar

Jammu, Jammu and Kashmir, India

1931-1996
ham apne baḳht-e-siyah ke asar meñ rahte haiñ
vo raat hai ki sitāre nazar meñ rahte haiñ
tamāsha-e-gāh-e-tulū-o-ġhurūb se haT kar
ham ik savād-e-shab-e-be-sahar meñ rahte haiñ
na thī ḳhudā kī zamīñ tañg jin ke qadmoñ par
fuġhāñ ki qaid vo dīvār-o-dar meñ rahte haiñ
vo āgahī ke samundar kahāñ haiñ jin ke liye
tamām-umr ye pyāse safar meñ rahte haiñ
havā-e-kūcha-e-mahbūb se kahe to kaun
ki ham bhī ārzū-e-nāma-bar meñ rahte haiñ
vo shahryār-e-suḳhan naam jin kā 'sahbā' hai
faqīr ban ke tirī rahguzar meñ rahte haiñ
Top Urdushayar.com