har na.e chehre se paidā ik nayā chehrā huā
tāq-e-nisyāñ par hai koī aa.ina rakkhā huā
be-vasīla is jahāñ meñ maut bhī mumkin nahīñ
hīla-e-dār-o-rasan bhī hai mirā samjhā huā
zaḳhm gahre kar rahī hai har na.e misre kī kaaT
sher kahne se bhī dil kā bojh kab halkā huā
zindagī kyā jaane kyuuñ mahsūs hotā hai mujhe
tujh se pahle bhī ho jaise zahr ye chakkhā huā
huuk sī uThtī hai 'sahbā' āsmāñ ko dekh kar
gar maiñ sho.ala huuñ to phir kyuuñ ḳhaak se paidā huā