vāqif nahīñ to us ke laboñ ko kañval na likh
alfāz ko ḳhizāb lagā kar ġhazal na likh
momin ke saath sirf ḳhudā hai sanam nahīñ
us bekasī ko uqda-e-mushkil kā hal na likh
lafzoñ meñ kab simaTtā hai vo sehr-e-be-karāñ
sheroñ ko husn-e-dost kā nemul-badal na likh
insān aap apnī tabāhī ko kam nahīñ
duniyā kī is tabāhī ko kār-e-ajal na likh
'sahbā' ke saath saath na chal sāya-e-zamīr
ai mere ham-nashīñ mirī fard-e-amal na likh