Mustafa Shahab

purane ghar mein naya ghar basana chahta hai

Mustafa Shahab

purāne ghar meñ nayā ghar basānā chāhtā hai
vo sūkhe phuul meñ ḳhushbū jagānā chāhtā hai
na jaane kyuuñ tire ma.asūm jhuuT ko āḳhir
zamāna sach kī tarah āzmānā chāhtā hai
abhī tapās se niklā nahīñ tirā sādhū
ki phir se ik na.ī dhūnī ramānā chāhtā hai
ye āb-dīda Thahar jaa.e jhiil kī sūrat
ki ek chāñd kā TukḌā nahānā chāhtā hai
ḳhud apnī aañkh meñ paanī utārne vaalā
hamārī aañkh ko sahrā banānā chāhtā hai
tujhe to bāñdh ke rakkhā hai nīstī ne 'shahāb'
tū hai ki hadd-e-fusūñ ko miTānā chāhtā hai
Top Urdushayar.com