Sahba Akhtar

mujh pe aisa koi sher nazil na ho

Sahba Akhtar

Jammu, Jammu and Kashmir, India

1931-1996
mujh pe aisā koī sher nāzil na ho
jis kī hiddat mire ḳhuuñ meñ shāmil na ho
fikr aise muhīt-e-suḳhan kī karo
jis kī amvāj kā koī sāhil na ho
aaj ik bint-e-maryam hai āġhosh meñ
mujh pe ai rūh-e-quds aaj nāzil na ho
be-muhābā mile hijr ho bā-visāl
koī dīvār raste meñ maa.il na ho
shāḳh par hai gumāñ gul se andesha hai
ye bhī ḳhanjar na ho ye bhī qātil na ho
kārvān-e-junūñ de rahā hai sadā
jaañ ho pyārī jise ham meñ shāmil na ho
kaash vo vaqt bhī aa.e duniyā meñ jab
zar pukāre magar koī saa.il na ho
merī tanhā.ī ko merā maqsūm kar
merī manzil zamāne kī manzil na ho
hukm de jān-e-'sahbā' na.ī fikr kā
ye ġhazal bhī agar tere qābil na ho
Top Urdushayar.com