raqs yak nuur kabhī sail-e-balā dekhtā huuñ
zehn par chhā.ī huī dhuñd meñ kyā dekhtā huuñ
tujh ko mahdūd ḳhad-o-ḳhāl meñ kar rakkhā hai
maiñ kahāñ tujh ko abhī tere sivā dekhtā huuñ
narm miTTī se uThe haiñ vo kuñvāre jazbāt
jin ko pahne hue phūloñ kī qabā dekhtā huuñ
aañkh haa.il hai tirī diid meñ achchhā hogā
aaj ye āḳhirī parda bhī uThā dekhtā huuñ
kyuuñ na us parda-nashīñ ko ho takallum meñ hijāb
maiñ to āvāz ko bhī chehra-numā dekhtā huuñ
maiñ vo kāfir huuñ ki is zulmat-e-dil ke hāthoñ
har chamakte hue chehre meñ ḳhudā dekhtā huuñ
phir koī kunj-e-amāñ dasht-e-suḳhan meñ 'sahbā'
aaj phir dil ko pareshān-e-navā dekhtā huuñ