mujhe milā vo bahāroñ kī sarḳhushī ke saath
gul-o-saman se ziyāda shaguftagī ke saath
vo raat chashma-e-zulmāt par guzārī thī
vo jab tulūa huā mujh pe raushnī ke saath
agar shu.ūr na ho to bahisht hai duniyā
baḌe azaab meñ guzrī hai āgahī ke saath
ye ittifāq haiñ sab raah kī masāfat ke
chale kisī ke liye jā mile kisī ke saath
burā nahīñ hai magar hasb-e-tishnagī bhī kahāñ
sulūk-e-shahd-labāñ merī tishnagī ke saath
fazā meñ raqs hai 'sahbā' hasīñ parindoñ kā
mujhe bhī hasrat-e-parvāz hai kisī ke saath