is be tulūa shab meñ kyā tāle.a-āzmā.ī
ḳhurshīd laakh ubhre lekin sahar na aa.ī
kab tak fareb-e-jāda kab tak ġhubār-e-manzil
ai dard-e-nā-tamāmī ai ranj-e-nārsā.ī
har gul kā chaak siina gulzār āfrīnā
ab ke ajab ḳhazīna terī bahār laa.ī
sāhil pe ḳhema-kash haiñ āsūdgān-e-sāhil
tūfān kar rahe haiñ kashtī kī nā-ḳhudā.ī
har aah kah rahī hai ik dard kā fasāna
har ashk likh rahā hai ik qissa-e-judā.ī
sahbā kahāñ hai yaaro koī use pukāro
vīrān ho rahā hai kunj-e-ġhazal-sarā.ī