ḳhud ko sharar shumār kiyā aur jal bujhe
ik shola-ruḳh se pyaar kiyā aur jal bujhe
ik raat meñ simaT ga.ī kul umr-e-ārzū
ik umr intizār kiyā aur jal bujhe
pichhle janam kī raakh se le kar nayā janam
phir raakh ko sharār kiyā aur jal bujhe
ham bhī nasīb se jo sitāra-nasīb the
sūraj kā intizār kiyā aur jal bujhe
ham raushni-e-tabā se shola-faroz the
har tīrgī pe vaar kiyā aur jal bujhe