Sahba Akhtar

mere liye wajud ka dariya sarab tha

Sahba Akhtar

Jammu, Jammu and Kashmir, India

1931-1996
mere liye vajūd kā dariyā sarāb thā
nākāmiyoñ ke baab meñ maiñ kāmyāb thā
baḳhshe haiñ mujh ko phuul mohabbat kī aag ne
mere liye sukūñ kā sabab iztirāb thā
maiñ ne safed lafz likhe aur sach likhe
merī sadāqatoñ kā bayāñ be-ḳhizāb thā
isyāñ shumār the jo farishte vo thak ga.e
ik fard-e-sad-gunāh se maiñ be-hisāb thā
kyā mujh se intiḳhāb kī kartā hai aarzū
maiñ to nigāh-e-sher kā ḳhud intiḳhāb thā
hijr-o-visāl ḳhatm hue Thiik hai ye khel
tujh ko bhī nāgavār mujhe bhī azaab thā
be-dāġh kah rahā hai jo apne jamāl ko
kal shab mirī baġhal meñ yahī āftāb thā
merī kitāb rasm-e-jahāñ hai vagarna maiñ
vo sāhib-e-kitāb huuñ jo be-kitāb thā
'sahbā' mire vajūd pe har mai-kade se duur
chhāyā thā vo surūr ki paanī sharāb thā
Top Urdushayar.com