Sahba Akhtar

fard-e-isyan ko wo siyahi de

Sahba Akhtar

Jammu, Jammu and Kashmir, India

1931-1996
fard-e-isyāñ ko vo siyāhī de
jis kī vo zulf bhī gavāhī de
be-amāñ nīm-jāñ huuñ merī jaañ
mujh ko āġhosh-e-jāñ-panāhī de
apnī zulfoñ ke saa.e meñ mujh ko
ek shab kī sitāra-jāhī de
dil ke ujḌe nagar ko kar ābād
is Dagar ko bhī koī raahī de
maiñ ne ta.amīr qasr-e-shauq kiyā
tū ise muzhda-e-tabāhī de
baḳhshne vaale gul-ruḳhoñ ko jamāl
mujh ko sāmān-e-ḳhush-nigāhī de
maiñ asīr-e-gumān-e-zulmat huuñ
etamād-e-sahar-e-nigāhī de
mujrim-e-ishq huuñ mujhe 'sahbā'
jo sazā de vo be-gunāhī de
Top Urdushayar.com