guuñj mire gambhīr ḳhayāloñ kī mujh se Takrātī hai
āñkheñ band karūñ yā kholūñ bijlī kauñde jaatī hai
tanhā.ī ke dasht se guzro to mumkin hai tum bhī suno
sannāTe kī chīḳh jo mere kānoñ ko pathrātī hai
kal ik nīm-shagufta jism ke qurb se mujh par TuuT paḌī
aadhī raat ko adh-khilī kaliyoñ se jo ḳhush-bū aatī hai
suune gharoñ meñ rahne vaale kundanī chehre kahte haiñ
saarī saarī raat akele-pan kī aag jalātī hai
'sahbā' sāhab dariyā ho to dariyā jaisī baat karo
tez havā se lahar to ik jauhaḌ meñ bhī aa jaatī hai