Sahba Akhtar

yun bhi hua ek arse tak ek sher na mujhse tamam hua

Sahba Akhtar

Jammu, Jammu and Kashmir, India

1931-1996
yuuñ bhī huā ik arse tak ik sher na mujh se tamām huā
aur kabhī ik raat meñ ik dīvān mujhe ilhām huā
apnī tanhā.ī kā shikva tujh ko giroh-e-ġhair se kyuuñ
ye to havas kā daur hai pyāre jis ko jis se kaam huā
maiñ apne ḳhāliq se ḳhush huuñ misl-e-alī is qismat par
daulat ahl-e-jehl ne paa.ī ilm mujhe in.aam huā
kaisī qanā.at kaisī ibādat hirs-o-havas ke aalam meñ
dil jo pahle ghar thā ḳhudā kā ab shahr-e-asnām huā
jo patthar ko mom banā de dil meñ ab vo aañch kahāñ
jis sho.ale par naaz bahut thā vo sho.ala bhī ḳhaam huā
jin ko hai islām kā da.avā 'sahbā' un kā haal bhī dekh
maiñ to ḳhair butoñ kā ho kar mahrūm-e-islām huā
Top Urdushayar.com