ham kisī sāya-e-dīvār meñ aa baiThe haiñ
yā kahīñ shaam ke āsār meñ aa baiThe haiñ
ham ki juz apne sivā auroñ se vāqif hī nahīñ
ḳhud se uktā.e to do-chār meñ aa baiThe haiñ
ham ko bhātī na thī ḳhushbū-e-chaman to uTh kar
ghar ke gul-dān kī mahkār meñ aa baiThe haiñ
ye ajab log haiñ jiine kī tamannā le kar
sub.h hote hī saf-e-dār meñ aa baiThe haiñ
chhoḌ kar apne Thikānoñ ko chaman meñ ye parind
jaane kyuuñ vādī-e-pur-ḳhār meñ aa baiThe haiñ
tū na ho to koī tujh sā hī nazar aa.e 'shahāb'
ham jahāñ hasrat-e-dīdār meñ aa baiThe haiñ