kisī ḳhatā se hameñ inhirāf thoḌī hai
hamārā ḳhud se koī iḳhtilāf thoḌī hai
basāratoñ ke alam-dār haiñ yahāñ kuchh log
har ik nazar pe añdherā ġhilāf thoḌī hai
kabhī to ham bhī tumhārā surāġh pā leñge
tumhārā shahr koī koh-e-qāf thoḌī hai
ye ā.īna tumheñ tum sā dikhā nahīñ saktā
agarche saaf hai utnā bhī saaf thoḌī hai
zabān-e-ḳhalq ko naqqāra-e-ḳhudā samjho
ye jānte haiñ sabhī inkishāf thoḌī hai
zamīñ kā ghaav hai miTTī se bhar hī jā.egā
hamāre dil kī tarah kā shigāf thoḌī hai
ham ehtijāj bapā kar rahe haiñ apne ḳhilāf
hamārā shahar hamāre ḳhilāf thoḌī hai
isī liye to nahātā hai bārishoñ meñ vajūd
hai ābdīda magar e'tirāf thoḌī hai