ham bhī kuchh kuchh ḳharāb ho jaa.eñ
duur saare hijāb ho jaa.eñ
chāñd bādal kī oT se nikle
ġham ye saare naqāb ho jaa.eñ
kuchh to apnī nazar bhī āvāra
kuchh ab vo māhtāb ho jaa.eñ
kaun phir un se dil kī baat kahe
jab vo aalī janāb ho jaa.eñ
chhū ke nikleñ jo tere hoñToñ ko
lafz saare gulāb ho jaa.eñ
dhāñdlī kar ke hī sahī lekin
ham tirā intiḳhāb ho jaa.eñ
vo to devī hai husn kī 'ashraf'
us ko dekhe savāb ho jaa.eñ