hai ā.īne ke muqābil jo hū-ba-hū kyā hai
ye merā ruup nahīñ hai to jalva-rū kyā hai
mire badan kī ragoñ meñ sharāb kī sūrat
jo sar paTaktā guzartā hai jū-ba-jū kyā hai
munāfarat ke ḳhasāre meñ ḳhush-ḳhirām rahe
sarisht-e-ādam-e-ḳhākī meñ ḳhū-ba-ḳhū kyā hai
magan hai aur kisī soch meñ mirā vijdān
maiñ apne aap se maḳhfī huā huuñ tū kyā hai
hatak hai bāda-kashoñ kī baḌhā.eñ dast-e-sharāb
nazar se uTh nahīñ paa.e to phir subū kyā hai
hameñ to koī tafarruq nazar nahīñ aatā
sarāb-e-mehr-e-tamannā yā māh-rū kyā hai
tumhārā naam hai 'ashraf' suḳhan-tarāz magar
tumhīñ kaho ki ye andāz-e-guftugū kyā hai