qalam bhī raushnā.ī de rahā hai
mujhe apnī kamā.ī de rahā hai
maiñ dariyā de rahā huuñ kashtiyoñ ko
vo mujh ko nā-ḳhudā.ī de rahā hai
koī ḳhāmosh sā tūfāñ havā kā
parindoñ ko sunā.ī de rahā hai
mirī nazroñ se ojhal hai magar vo
jidhar dekhūñ dikhā.ī de rahā hai
'shahāb' uḌ kar charāġhoñ tak to pahuñcho
agar kuchh kuchh sujhā.ī de rahā hai