phūloñ ko tabassum kī adā tujh se milī hai
gulshan ko junūñ-ḳhez havā tujh se milī hai
ai ḳhuld-nazar jān-e-chaman rūh-e-bahārāñ
shabnam ko ye namnāk ziyā tujh se milī hai
bazm-e-mah-o-anjum ko bhī ai shāhid-e-rānā
ye nuur se bharpūr fazā tujh se milī hai
gulgūñ lab-o-ruḳhsār ke sadqe meñ shafaq ko
ye rañg kī daulat ba-ḳhudā tujh se milī hai
us rū-e-ziyā-bār pe ye abr kā ghūñgaT
bijlī ko yaqīnan ye hayā tujh se milī hai
saaqī tirī āñkhoñ kī qasam sāġhar-e-mai ko
ye kaifiyat-e-hosh-rubā tujh se milī hai
ai dost terī nīm-nigāhī ke tasadduq
dil ko ḳhalish-e-rūh-fazā tujh se milī hai
kaunain ke har raaz ko mahram jise kahiye
'manshā' ko vahī fikr-e-rasā tujh se milī hai