gul zaḳhm ko aañsū ko guhar ham ne kahā hai
har aib-e-mohabbat ko hunar ham ne kahā hai
ra.anā.ī-e-jalva ko ba-sad husn-e-tayaqqun
ḳhud apnā hī ik aks-e-nazar ham ne kahā hai
kuchh baat to hai jis ke sabab saare jahāñ meñ
ai dost tujhe ḳhuld-nazar ham ne kahā hai
kahne ko rah-e-shauq meñ raahī to bahut the
manzil ko magar gard-e-safar ham ne kahā hai
ho jin se ġham-e-tīrgī-e-shab kā mudāvā
aise hī ujāloñ ko sahar ham ne kahā hai
haq-goī kā anjām samajh kar bhī ai 'manshā'
jo kahnā thā be-ḳhauf-o-ḳhatar ham ne kahā hai