ziist meñ rañg bhar ga.ī āḳhir
vo nazar kaam kar ga.ī āḳhir
jazb-e-vahshat kī kārsāzī se
dil kī qismat sañvar ga.ī āḳhir
chiir kar parda-e-mah-o-anjum
aap hī par nazar ga.ī āḳhir
jo qayāmat guzarnī thī ham par
dil ke hāthoñ guzar ga.ī āḳhir
haa.e vo ik nigāh-e-duzdīda
kyā kyā ilzām dhar ga.ī āḳhir
jo ḳhalish dil meñ thī nihāñ pahle
rag-o-pai meñ utar ga.ī āḳhir
azm-e-tābāñ se bar-sar-e-manzil
raushnī sī bikhar ga.ī āḳhir
soz-e-dil ke tufail ai 'manshā'
shā.irī bhī nikhar ga.ī āḳhir