sharīk-e-soz-e-darūñ jab se ho ga.e alfāz
nava-e-dard meñ sho.ale piro ga.e alfāz
sunā ke dāstāñ dil-doz vārdātoñ kī
na jaane kitnoñ ke dāman bhigo ga.e alfāz
kabhī kabhī to kuchh aisā bhī ittifāq huā
taḌap ke jaag uThe armāñ to so ga.e alfāz
milī na jab unheñ iblāġh kī tavānā.ī
to aap apne muqaddar ko ro ga.e alfāz
uThe to saare zamāne kī ban ga.e āvāz
dabe to aabrū apnī Dubo ga.e alfāz
ḳhatīb-e-shahr ne kī baat dostī kī magar
diloñ meñ tuḳhm adāvat ke bo ga.e alfāz
ġhazal-sarā.ī-e-'manshā' pe yuuñ huā mahsūs
ki jaise ruuh ke andar samo ga.e alfāz