Mohammad Mansha ur Rahman Khan Mansha

dil ko har aish se begana bana kar chhoDa

Mohammad Mansha ur Rahman Khan Mansha

dil ko har aish se begāna banā kar chhoḌā
tum ne āḳhir ise dīvāna banā kar chhoḌā
do nigāhoñ kā tasādum to koī baat na thī
us kā bhī logoñ ne afsāna banā kar chhoḌā
sehn-e-gulshan meñ tarab-ḳhez bahār aate hī
ham ne har phuul ko paimāna banā kar chhoḌā
saikḌoñ tarah ke but is meñ ikaTThā kar ke
ka.aba-e-dil ko bhī but-ḳhāna banā kar chhoḌā
ālam-e-shauq meñ parvāz ke matvāloñ ko
azm-e-bebāk ne parvāna banā kar chhoḌā
dil kā thoḌā sā lahū is meñ milā kar ham ne
ashk-e-be-dard ko durdāna banā kar chhoḌā
'manshā' is daur meñ hastī kī girāñbārī ne
achchhe-achchhoñ ko bhī dīvāna banā kar chhoḌā
Top Urdushayar.com