jagah jagah se shikasta haiñ ḳham haiñ dīvāreñ
na jaane kitne gharoñ kā bharam haiñ dīvāreñ
chhatoñ kā zikr hī kyā un ko le uḌī hai havā
ab hādsāt ke zer-e-qadam haiñ dīvāreñ
barastī bārishoñ meñ hoñgī mojib-e-ḳhatra
abhī to dhuup meñ abr-e-karam haiñ dīvāreñ
hamāre ḳheme tanāboñ ke bal pe qaa.em haiñ
chhateñ to ḳhuub mayassar haiñ kam haiñ dīvāreñ
qadīm shahroñ meñ har-sū qadam qadam bikhrī
purānī rāh-guzāroñ meñ zam haiñ dīvāreñ
kahīñ darīche haiñ shān-o-shikoh ke marsiyāñ-ḳhvāñ
kahīñ mazār-e-vaqār-o-hasham haiñ dīvāreñ
ye fart-e-girya-o-zārī kā hai asar 'manshā'
zamīñ makānoñ kī giilī hai nam haiñ dīvāreñ