jigar ko chaak ki dil ko lahū lahū kiije
hayāt ko kisī unvān surḳh-rū kiije
nahīñ hai hausla mar mar ke zinda rahne kā
to kaun kahtā hai jiine kī aarzū kiije
hai chaak chaak bahut zindagī kā pairāhan
ḳhudā ke vāste kuchh koshish-e-rafū kiije
lahū se pahle gulistāñ ko kījiye sairāb
phir us ke ba.ad tamannā-e-rañg-o-bū kiije
tumhārī bazm meñ aa.ī kahāñ se ye raunaq
nazar milā ke zarā ham se guftugū kiije
ba-faiz-e-ishq taqaddus-ma.āb haiñ ham log
hamārā zikr bhī kiije to bā-vazū kiije
qalam uThe to rahe azmat-e-qalam kā ḳhayāl
ai 'manshā' yūñhī sadā hifz-e-ābrū kiije