Mohammad Mansha ur Rahman Khan Mansha

soz-e-gham chiz hai kya kuchh hamein malum to ho

Mohammad Mansha ur Rahman Khan Mansha

soz-e-ġham chiiz hai kyā kuchh hameñ ma.alūm to ho
ye maraz hai ki davā kuchh hameñ ma.alūm to ho
roz-o-shab hotī rahe taaza qayāmat barpā
zindagānī kā maza kuchh hameñ ma.alūm to ho
ham bhī parvāna-mizājī kā dikhā.eñ aalam
qīmat-o-qadr-e-vafā kuchh hameñ ma.alūm to ho
phir lagā leñge kabhī chāñd sitāroñ kā surāġh
pahle ḳhud apnā patā kuchh hameñ ma.alūm to ho
aap ke lutf se mahrūm jo ham rahte haiñ
kis ḳhatā kī hai sazā kuchh hameñ ma.alūm to ho
dil kī dhaḌkan na sahī aap kī aahaT hī sahī
sāz-e-hastī kī sadā kuchh hameñ ma.alūm to ho
jān-o-dil ham bhī kareñ nazr-e-mohabbat 'manshā'
itnī mehnat kā silā kuchh hameñ ma.alūm to ho
Top Urdushayar.com