Mohammad Mansha ur Rahman Khan Mansha

surat-e-barq-e-tapan shoala-fagan uTThe hain

Mohammad Mansha ur Rahman Khan Mansha

sūrat-e-barq-e-tapāñ sho.ala-fagan uTThe haiñ
azm-e-nau le ke javānān-e-vatan uTThe haiñ
hifz-e-nāmūs-e-mohabbat ke liye dīvāne
apne dil meñ liye marne kī lagan uTThe haiñ
ruḳh zamāne kī havāoñ kā badalne vaale
aaj Daale hue māthe pe shikan uTThe haiñ
paikar-e-mehr-o-vafā ham haiñ magar majbūran
haath meñ teġh liye ġhalġhala-zan uTThe haiñ
aañch nāmūs-e-vatan par nahīñ aane deñge
ab to ham bāñdhe hue sar se kafan uTThe haiñ
chand lamhāt ke mehmān nazar aate haiñ
vo bagūle jo sar-e-sehn-e-chaman uTThe haiñ
ab añdheroñ se kaho ḳhair manā.eñ apnī
zarre dhartī ke mirī ban ke kiran uTThe haiñ
jab bhī aayā hai kaḌā vaqt chaman par 'manshā'
le ke ham hausla-e-fitna-shikan uTThe haiñ
Top Urdushayar.com