ishq ko bār-e-zindagī na kaho
baat itnī bhī be-tukī na kaho
dil ko jis meñ ho fikr-e-sūd-o-ziyāñ
us tijārat ko āshiqī na kaho
kuchh to marne kā hausla dikhlāo
sirf jiine ko zindagī na kaho
dil-lagī ke sivā bhī kuchh hai ishq
ishq ko mahz dil-lagī na kaho
kuchh na kah kar bhī apne dil kī baat
yuuñ ba-andāz-e-ḳhāmushī na kaho
sab kaho par hameñ ḳhudā ke liye
apne mahfil meñ ajnabī na kaho
jis ko kuchh aadmī kā dard na ho
aise zālim ko aadmī na kaho
dil ko baḳhshe jo zindagī 'manshā'
tum to us ġham ko ġham kabhī na kaho