dard se jaan churāte hue Dar lagtā hai
dil ko vīrān banāte hue Dar lagtā hai
chaar aañsū sar-e-mizhgāñ to koī baar nahīñ
ġham kī tauqīr ghaTāte hue Dar lagtā hai
log to baat kā afsāna banā dete haiñ
is liye lab bhī hilāte hue Dar lagtā hai
apnī hastī se na ho jā.ūñ kahīñ begāna
aap se rabt baḌhāte hue Dar lagtā hai
husn-e-be-pardā ke jalve bahut arzāñ haiñ magar
tohmat-e-dīd uThāte hue Dar lagtā hai
azmat-e-dair-o-haram kā na bharam khul jaa.e
sar tire dar pe jhukāte hue Dar lagtā hai
jis ke har lafz meñ hoñ ġham kī karāheñ 'manshā'
aisā afsāna sunāte hue Dar lagtā hai