Mohammad Mansha ur Rahman Khan Mansha

ba-nam-e-ishq gham-e-motabar zaruri hai

Mohammad Mansha ur Rahman Khan Mansha

ba-nām-e-ishq ġham-e-mo'tabar zarūrī hai
hayāt ke liye koī hunar zarūrī hai
kuchh aur ho na ho hāsil baqā-e-dil ke liye
ik iztirāb-e-musalsal magar zarūrī hai
nashāt-e-dīd jo manzūr hai to ai yaaro
nazar ke saath ḳhulūs-e-nazar zarūrī hai
bahut ġhalat hai tamannā-e-ḳhud-farāmoshī
vafūr-e-ishq meñ apnī ḳhabar zarūrī hai
ḳhyāl-e-zīnat-e-fasl-e-bahār se pahle
mizāj-dānī-e-barq-o-sharar zarūrī hai
kuchh ham bhī aap se ummīd-e-lutf rakhte haiñ
udhar bhī ek uchaTtī nazar zarūrī hai
chaman ko aur hasīñ-tar banānā hai 'manshā'
to rañg-e-kārī-e-ḳhūn-e-jigar zarūrī hai
Top Urdushayar.com